अलविदा यानी फ़ेयरवेल, हमारे जीवन का बहुत महत्वपूर्ण हिस्सा होता है। क्योंकि यह हमारे दिल के सबसे करीबी लोगों के साथ जुड़े होता है। यह अलविदा के रूप में होता है, लेकिन यह संदेश देता है कि हम सदैव एक-दूसरे के दिलों में बसे रहेंगे, चाहे हम कितनी दूर चले जाएं। इसलिए, Farewell हमारे जीवन का महत्वपूर्ण हिस्सा होता है, जो हमें अपने प्यार और समर्पण की महत्वपूर्ण भावना को समझने का मौका देता है। इसलिए आज हम आपके लिए Farewell Shayari in English लाये हैं
Hai vidaai ki ye bela
Laga hai aansuon ka rela
Par hai khushi saath.. hai aage
Duniya badi jahan milegi
Tumhe jeevan ki nai saugaat.
Saath-saath jaate the school lekin aaj hum juda ho jayenge
Rakhna khyal apna doston kyunki aaj hum vida ho jayenge.
Saath guzre jo pal bhula na dena,
Saath guzre jo pal bhula na dena,
Rukna mat tum tab tak
Jab tak kuch banke zamane ko dikha dena
Samundar na ho to kashti kis kaam ki
Mazak na ho to masti kis kaam ki
Doston ke liye kurbaan hai ye zindagi,
Agar dost na ho to fir ye zindagi kis kaam ki
Shikshak aur sadak dono ek jaise hote hain,
Khud jahan hain wahin par rahte hain par
Doosron ko unki manzil pahuncha dete hain
Vo jo jaate hain school un raston se juda hum ho gaye
Aaj apne school se vida hum ho gaye
Vidaai ki hai ghadi hai mushkil badi kamna
Jeevan ki tumhari ho poori yahi hai shubhkamna hamari.
Vidaai ki ghadi hai, har aankh nam padi hai
Har kamna ho poori aapki yahi shubhkamna hai
Tahe dil se hamari.
Vidaai ki ghadi hai aai, sabke aankhon mein aansu hai lai,
Aapki poori ho har abhilasha dua ye sabke zubaan par hai aai
Vidaai ki ghadi aayi hai
Sabke aankhon mein aansu lai hai,
Aapke pure ho har khwab
Dua ye sabke zubaan par aai hai.
Vidaai ka hai din
Maahaul hai gamgin hai
Ye aasha poori ho tumhari
Har ek abhilasha.
Vidaai ka ye din hai, maahaul thoda gamgin
Lekin dua hai rab se, aap yun hi haste raho,
Mehkate raho, sabke dil mein basate raho.
Vida ho kar aaj hi yahan se chali jaoge
Par aasha hai ki jahan bhi jaoge
Khusiyon hi paoge.
Vida to hona hi tha aapko aaj ho ya kal
Par juda kabhi mat hona ye vada karo ab.
Vida to aap ho rahe ho is college se
Bas aankhon ke samne se ja rahe ho
Dil se kaise nikal ke jaoge aap.
Vakt ka badalta hua faisla hai,
Tum se alvida kehna ek naya mukaam hai.
Log aate hain- jaate hain, har jagah nayi yaadein banate hain,
Aaj aap bhi hamein apni yaadon ke sang chhod jayenge…
Shubhkamnayen hain hamari, na rahe koi khwahish adhuri tumhari.
Yun to kaee log aate hain aur chale jaate hain,
Magar kuch hi yaadon mein jagah bana pate hain,
Guru, dost aur senior aap the yahan,
Na jane kyon ache log bichhad jaate hain.
Yaadon ke frame mein aapki tasveer sajayenge,
Aap to ja rahe hain par hamein bahut yaad aayenge
Yaadon ki jhadi si hai aankhon mein chhai
Ho rahi hai aaj aapki vidaai
Ham karte hai eshwar se prarthna
Poori ho jeevan ki har kamna.
Yaaden hamari saath rahengi, lamhon ki tarah bheegi-bheegi,
Kabhi na bhoolenge, hum ek duje ko apni yaadon ke sahare jee baiti baaten fir se.
Yadi aap itne himmat wale hai ki alvida keh saken,
To aapka jeevan aapko ek naya hi khega.
Main sikha aur bahut kuch sikhaya hai aapne,
Tarkki ka asli matlab bataya hai aapne,
Chale jaoge mana hamara saath chhodkar,
Par hamare dil mein ghar banaya hai aapne.
Mere lafzon mein kya hai!!
Tarah-tarah se ek bas tumhara zikr!!!
Mushkilon se .bhag jana aasan hota hai
Mushkilon .se .bhag .jana aasan hota hai
Har pahlu zindagi ka imtihan hota hai
Mili-juli khushi-gam ke bhavnaon ke sath,
Shubhkamna hai aaj vidaai ke is mauke mein ye,
Ki ho tumhare jeevan ki shubh shuruwat…
Milna bichadna duniya ki reet hai
Isko khushi se nibhate raho
Kab kisse dil mil jaye isliye
Raahon mein dost banate raho
Milte-jhulte rahenge aapki bhavnaon ke sath
Aaj se hogi aapke jeevan ki shubh shuruwat.
Mano aap hi the mera parivar,
Aur aap hi the mere yaar,
Nahi koi tha senior aap-sa,
Sambhala tha aapne mujhe har baar.
Bhor gamgin hokar khabar lai hai
Din bhi bechain hai, dhoop ghabrai hai
Aapko hum vidaai de de,
Magar dil subakne laga, aankh bhar aai hai.
Bheegha bheegha sa kyon hai yeh sama
Aaj to aasman mein baadal bhi nahi hai
Suna hai aaj aapki hai vidaai
Isliye sabki aankhen bhar aai.
Bhale hi hum kitni bhi tarakki kar len
Yaad rahenge ye zindagi ke pehle dost aur pehle saathi
Befikr tha main, sar par jo aapka haath tha
Be hisab tha main, aapke hathon mein jo hisab tha
Vida to kar doonga aaj aapko
Lekin ye bahti ansu na rok paunga.
Bas rundhe kanth hai, yun vikal kar diya
Dil hua tarbattaar, man taral kar diya
Aapki ye judai, kathin ho gayi
Is vidaai ne hame, sajal kar diya.
Fir milenge, kabhi na kabhi hum yahan fir se,
Kuch naye rang, kuch nayi khushiyan lekar sath fir se.
Fir milenge ham, is baat ka hai khaas vaada,
Aapko bhool jana hame mushkil hoga, alvida!
Fikr karoon ya zikr karoon
Aapke bina ye safar kaise poora karoon.
Na jane kuch log kab apne ban jate hain
Yun hi chalte firte dil mein bas jate hain
Ek pal mein na jane kyon chhod kar chale jate hain.
Na jane kaise sab tham sa gaya hai
Ye lamha, ye mulakat, ye jazbaat,
Jaise koi saazish hone ko hai
Manko koi apna khone ko hai
Doston ke saath guzre har pal ko yaad karke rone se kuch nahi hoga,
Haste-haste bhula denge gam ko, isliye muskura kar alvida kehte hain aapse fir se.
Dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya ab sari umr hath hilate rahenge ham
Dimag ko samjhayoon to man nahi samajhta
Dil ko samjhayoon to aankhen ro padti hai.
Tha aapka saath to behichak chal pade hum
Gir bhi pade hum to saath khade nazar aye ho aap
Jin se sikha hai zindagi jeena kaise kar den vida
Kya badi baat hai, hum agar ro pade.
Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare bad ye mausam bohot satayega
Dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya ab sari umr hath hilate rahenge ham
Dimag ko samjhayoon to man nahi samajhta
Dil ko samjhayoon to aankhen ro padti hai.
Tha aapka saath to behichak chal pade hum
Gir bhi pade hum to saath khade nazar aye ho aap
Jin se sikha hai zindagi jeena kaise kar den vida
Kya badi baat hai, hum agar ro pade.
Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare bad ye mausam bohot satayega
Drane walon ko milta nahi kuch zindagi mein drane walon ko
Milta nahi kuch zindagi mein ladne walon ke kadamom mein jahan hota hai
Jeevan ki kashti dugmag thi kinare lagaya
Jamie se uthakar sihasan par bithaya
Aur kya tarif karun aapki aapne to
Khud ko mitakar hame bana diya.
Zindagi jeene ka salika aaya hai
Char kadam chale sath tere to jeene ka hosla aaya
Zindagi ke har mod par girne se bachaya,
Kaise jeena hai duniyan mein ye sabko bataya,
Chale ho kahin or hame kamyab banakar,
Ap-sa senior hamne kismat se paya.
Zindagi ke safr mein badlte rango ko yaad rakhna,
Kabhi na dhundlana khud ko, kabhi na kho dena apni pahchan ko.
Jane wale hamesha kuch khaas hote hain,
Aap bhi aise hi sabse alag aur pyare hote hain.
Jane ki udaasi is dil se hataaye kaise,
Dil mein hi rahte hai vo par kaise samjhaye kaise.
Jab zaroorat thi pariwar ki mili gaya,
Jab zaroorat padi pyar ki mili gaya,
Yun kahan senior aap se hain yahan ,
Jab zaroorat padi yaar ki mili gaya…
Jab zarurat thi pariwar ki, mili gaya
Jab zarurat padi pyar ki , mili gaya
Yun kahan senior aap se hain yahan
Jab zarurat padi yaar ki, mili gaya
Chalo aaj se fir zindagi ki nayi shuruat karte hain
Aap sab junior ban kar aao hum sab senior ban aapki ragging lete hain
Chalte hai fir milenge ye keh kar
Aap to vida ho gaye, par ham akele ho gaye.
Chalte chalte kuch aise raste aaye,
Jinhe ham sath mein chalte jaate rahe.
Ab tum chale jaoge unhi rahon se,
Hame to sirf yaadein rah jayengi unke bina
Chakke pe chakka chakke pe gadi
Aap hi vo pyare senior ho jisne hamari zindagi bigadi
Khubiya hum me itni to nahi ,
Ki tumhe kabhi yaad aayenge,
Par itna to aitbar hai hame khud par,
Ki aap hame kabhi bhool nahi payenge
Khubiyan itni to nahi ham mein ki tumhe kabhi yaad aayenge
Par itna to aitbar hai hame khud par
Aap hame kabhi bhool nahi payenge.
Kore palakon ki bheegi, tumhare liye
Ho sohbat sabhi ki, tumhare liye
Aapki shohrate, itra bankar udde
Har khushi ko zameen ki, tumhare liye.
College aane se pahle socha na tha ki aisa hoga
Ghar se pyara ek aur ghar ho jayega
Ghar se door jakar ye jana ki ghar to kabhi bhool nahi payenge ham
Par college ki yaad mein sada muskurayenge ham
Kuch log dil par is tarah asar kar jate hai,
Toote hue sheesho me bhi saboot nazar aate hai
Milte to hai ghadi bhar ke liye,
Magar sada ke liye dil mein utar jate hai.
Kash zindagi ko hum peeche mod sakte
Katarata waqt guzar jayega
Rooh ka daman bhi sath chhod jayega
Pal do pal sath guzaro lo aaj yaron
Kal ka kya bharosa jane kaun kahan chala jayega.
Kal na hum honge na koi gila hoga,
Sirf simti hui yaadon ka silsila hoga,
Jo lamhe hain chalo hans ke bita len,
Jane kal zindagi ka kya faisla hoga
Ehsaas kar deta hai rooh, jin ki baaten nahi hoti
Ishq vo bhi karte hai jin ki, mulaqaten nahi hoti
Ek guzarish
Ek iltija
Ruk jao na.
Ek achha adhyapak jab jeevan ke sabak sikhata hai,
Tab koi bhi use jeevan bhar nahi mit sakta
Use jane ki jaldi thi so main aankhon hi aankhon mein
Jahan tak chhod sakta tha vahan tak chhod aya hoon.
Aapko jana hai yahan se vida hokar aaj
Shubhkamna hai puri ho aapki har manokamna.
Aapke sath ye sare mausam farishte
Jaise mehsoos hote the, aapke bad
Ye mausam hume bahut satayenge.
Aapke sath kuch lamhe kai yaadein
Bator inaam mile, ek safar par
Nikele aur tajurbe tamaam mile.
Aapke vaste, kuch bhi kar jayenge,
Aap kar den ishara, to mar jayenge,
Aapki har khushi, hamko manzur hai,
Par vida aapko, ham na kar payenge…
Aapke waste kuch bhi kar jayenge aapke waste
Kuch bhi kar jayenge aap kar de ishara to mar jayenge
Aapko jane par har taraf sannata chhayega ,
Aapko yaad karke dil bhi udaas hoga,
Aapko ho na ho aapko yaad karke
Hamara dil zarur udaas hoga
Aapki vidaai ki is bela mein,
Kehta hoon sach, rah jaunga akela main,
Fir bhi dukh-sukh mein hoon aapke sath,
Aap raho jahan wahan mile nai saugate.
Aapka har pal intezar karenge ham
Aap kar de ishara to, jannat bhi chhod aayenge ham
Aapki har khushi hai hamko manzur hai
Par vida aapko, ham na kar payenge.
Aap hame se door nahi ja rahe hai, aap hamare dil ke paas aa rahe hai,
Aap jahan mein jahan bhi rahe, muskurate aur khilkhilate rahe.
Aap the to, safal ho gaye
Aap the to, hawa sare gam ho gaye
Ham akele chale to, bahut khaar the
Aap ke sath rahon mein, gul ho gaye.
Aap jaisa buddppan, nahi hai kahin,
Aap jaisa saral man, nahi hai kahin,
Aapko ham vida, aaj kar de magar,
Senior aisa sajjan, nahi hai kahin.
Aap ka sath dhoop mein chhav hai
Aap ka sath samundar mein nav hai
Aap ka sath andhera mein prakash hai
Kar rahe hai aaj aap ko vida
Par dil mein aapka hi naam hai.
Aaj milenge, kal milenge
Vida ho jaoge aaj aap
Na jane fir kab milenge.
Ankh se door sahi dil se kahan jayega
Jane wale tu hame yaad bahut ayega – Alvida
Arz kiya hai
College se pahle to main gangadhar tha shaktiman banaya aapne
Pahle sirf main dukhi hi tha phatehal aashiq banaya apne
Vo to pyari si college ki jaan ban kar aayi thi
Pure college ki bhabhi banaya apne
Apni sanso mein abaad rakhna mujhe
Main rahun na rahun yaad rakhna mujhe.
Agar talaash karun to koi mil hi jayega
Magar aapke jaisa ab aur kaun mil payega.
♥honge juda aisi koi khabar aayi hai honge juda aisi koi khabar aayi hai din bhi hai
Bechain sans bhi tham aayi hai denge hum aapko fir bil ki party lekin denge hum aapko farewell ki party lekin hone lagi hai bechani aur aankhen bhar aayi hai♥
Check also-