चाँद, जो हर रोमांटिक कहानी का हिस्सा बन चुका है। इसकी चमक और चाँदनी अपनी शोभा से हर किसी को मोहित कर देती है। चाँद के चेहरे पर वो चिरंतन सौंदर्य है, जिसे हर कोई देखकर हैरान हो जाता है। यह प्यार और रोमांस का प्रतीक है, जिसमें हर जोड़ा अपने प्यार को चाँद से तुलना करता है। और हर जोड़ा चाँद से प्यार भरी बाते करता हैं जिससे उनका प्यार पर भरोसा और मजबूत होता हैं इसलिए आज हम आपके लिए Chand Shayari in English, love chand shayari in english लाये हैं
Hai Chaand Sitaron Mein Chamak Tere Pyaar Ki,
Har Phool Se Aati Hai Mehak Tere Pyaar Ki!
Har Khwais Puri Ho Har Dua Qubool Ho,
Tumhari Chaand Se Chehre Pe Hamesha Muskaan Ho
Sooraj Sitare Chaand Mere Saath Mein Rahe,
Jab Tak Tumhare Haath Mere Haath Mein Rahe!
Wo Thaka Hua Meri Baahon Mein Zara So Gaya Tha,
To Kya Hua,
Abhi Maine Dekha Hai Chaand Bhi Kisi,
Shaakh-E-Gul Pe Jhuka Hua!
Wo Chaand Hai To Kya Hua Janab,
Hum Bhi Dariya Ki Tarah Unke Aks Ko Zahan Mein Utaar Lenge
Wo Chaand To Hamesha Se Khamosh Raha Hai,
Shor To Sitaaron Ne Tootkar Machaya Hai
Wo Chaand Ko Dekhti Rahi Hum Use Dekhte Rahe,
Gali Ke Sab Log Bas Hame Dekhte Rahe
Raat Bhar Karta Raha,
Teri Tareef Chaand Se,
Chaand Itna Jal Gaya Ki,
Subah Tak Sooraj Ho Gaya!
Raat Ko Jab Chaand Sitare Chamakte Hain
Hum Hardam Aapki Yaad Mein Tadapte Hain
Aap To Chale Jaate Ho Chhodkar Hamein
Hum Raat Bhar Aapse Milne Ko Tarasate Hain!
Ye Shanti Bhari Raat Ka Sannaata,
Aur Is Chaand Ki Chaandni,
Sukoon Deti Hai Is Dil Ko
Ye Raatein Bhi Mujhe Ab Un Raaton Si Nahi Lagti,
Na Sitare Hote Hain Na Paas Mera Chaand Hota Hai
Ye Chaand Roz Aata Hai,
Aur Meri Yaadon Ki Zakhmon Ko
Khuredkar Chala Jaata Hai
Yeh Kaise Dhokhe Humne Khaaye Hue Hain
Raat Guzar Gayi Aur Hum Chaand Sajaaye Hue Hain!
Mohabbat Ne Maangi Thi Sitaron Ki,
Humne Unhe Aaina Mein Chaand Dikhaya
Main Baadal Ban Jaun,
Tum Chaand Ban Jaana,
Tumhaara Noor Koi Chura Na Le,
Tum Mujhme Kahin Chhup Jaana
Main Apne Chaand Ka Chaand Hoon,
Khubsurat To Itna Nahi
Par Bedaag Ek Ahsas Hoon
Mumkin Hai Daag Ho,
Chaand Banne Ki Khwahish Jo Thi
Mujhe To Rok Liya Use Kaise Rokoge Tum
Wo Jab Chaand Tumhe Dekhega Use Kaise Tokoge Tum!
Mat Pooch Mere Jaagne Ki Wajah Ai Chaand,
Tera Hi Hamshakl Hai Jo Sone Nahi Deta
Mat Kar Gurur Tu Ai Chaand Apni Is Khoobsurti Par,
Dekh,Aaj Bhi Tu Akela Hai Itni Unchaiyon Par
Besabab Muskura Raha Hai Chaand,
Koi To Saazish Chhupa Raha Hai Chaand!
Bikhre Hue Lamhe Ab Ham Na Samet Paayenge,
Chaand Chala Gaya Aasman Se,
Sitare Kab Tak Thahr Paayenge
Baadal Chaand Ko Chhupa Sakta Hai
Aakash Ko Nahi Hum Sab Ko
Bhula Sakte Hain Aapko Nahi!
Bada Magroor Rehta Hai,
Khud Pe Gurur Rakhta Hai,
Wo Chaand Hai Janab,
Falak Se Zameen Par Kahar Barsata Hai
Palkon Ko Jhuka Ke Kuch Nazaakat Ke Saath Yun Sharamate Hain,
Jab Wo Pyaar Se Hame Apna Chaand Bulati Hain
Na Chat Par Kabhi Aata
Na Ghar Se Kabhi Nikalta Hai
Mera Mahboob Jaise Chaand Sa
Ghataon Mein Chipata Hai..!
Na Chaand Ka Khwab Hai,
Na Sitaron Ki Chaah Hai,
Zindagi Ki Udaan Ke Liye To,
Khula Aasmaan Hi Kaafi Hai
Na Taare Na Chaand Na Unka Aasmaan Chaahiye,
Mujhe To Bas Meri Mohabbat Ki Salaamti Chaahiye
Na Chaahte Hue Bhi Mere Lab Par
Ye Fariyaad Aa Jaati Hai
Ai Chaand Samne Na Aaye
Sanam Ki Yaad Aa Jaati Hai!
Na Chaand Ki Chaah Na Falak Ka Intezaar Hai,
Kaise Kahun Mujhe Bas Tujhse Hi Pyaar Hai!
Dekhne Ke Baad Aapko Hamein Hosh Kahan Rahega,
Hum Rahenge Wahan Jahan Chaand Hamara Rahe!
Deedar-E-Chaand Waali Raat Aayi Hai
Bazaar Mein Raunak Aur Gharon Mein
Khushiyon Ki Saugat Laayi Hain!
Tere Chehre Se Aise Noor Jhalakta Hai,
Jaise Door Aasmaan Mein Chaand Chamakta Hai!
Teri Baaton Mein Hamesha Chahat Jhalakti Hai
Sanam Chaand Hi Nazar Aaye Hardam,
Chehre Mein Tumhare Jaanam!
Tera Chehra Jaise Chamakta Koi Chaand Ho,
Tere Husn Par Kaala Til Jaise Chaand Me Koi Daag Ho!
Tu Bilkul Chaand Ki Tarah Hai,
Noor Bhi, Gurur Bhi Aur Door Bhi!
Tu Chaand Aur Main Sitara Hota,
Aasman Mein Ek Aashiyaana Hamara Hota,
Log Tumhe Door Se Dekhte Nazdeek Se Dekhne Ka,
Haq Bas Hamara Hota!
Tum Bhi Bilkul Us Chaand Ki Tarah Ho,
Khubsurat Bhi Ho Aur Bahut Door Bhi Ho
Tujhko Dekha To Fir Usko Na Dekha Maine,
Chaand Kehta Raha Main Chaand Hoon Main Chaand Hoon!
Tasveer Bana Kar Teri Aasmaan Pe Taang Aaya Hoon,
Aur Log Poochhte Hain Aaj Chaand Itna Bedaag Kaise Hai
Talab Sabko Hai Chaand Nihaarne Ki,
Zaruratein Kehti Hai Subah Bani Rahe
Jo Tu Samajhe To,
Chamakte Chaand Ka Sitara Hu Main,
Jo Na Samajhe To Avara Hu Main
Jaise Chaand Aur Taron Ke Ek Doosre Ke Paas Hone Ka Ahsaas Hota Hai,
Bas Kuch Waisa Hi Kissa Hai Hum Dono Ka Bhi
Jis Chaand Ke Hazaaron Ho Chahne Wale
Wo Kya Samajhega Ek Sitare Ki Kami Ko!
Zikr Teri Khubsurti Ka Jo Kiya,
To Wo Chaand Bhi Sharmaaya,
Hum Kisse Par Kissa Sunate Gaye
Wo Baadlon Mein Gum Ho Gaya!
Zindagi Mein Mano Poornima Ki
Roshani Sa Ujala Aaya Hai
Jab Se Maine Use Apna
Chaand Banaya Hai..!
Chaahte To Hum Bhi Tumhe Ek Zamane Se The
Magar Ye Chaand Kab Mohabbat
Karne Walon Ka Hua Hai.!!
Chaand Sa Mukhda Daal
Wo Chat Par Jo Aati Hai
Haay Kya Adaakari Hai
Wo Hamse Nazre Churati Hai.!!
Chaand Se Baatein Tumhari Har Roz Karte Hain,
Dekho Door Hokar Bhi Hum Kitne Paas Rahte Hain
Chaand Se Baatein Karta Hai,
Apne Chaand Ki Baatein Karta Hai,
Ye Pagla Aashiq,
Raatbhar Chaand Paane Ke Tareeke Sochta Hai
Chaand Se Pyari Chandni,
Chandni Se Pyari Raat,
Raat Se Pyare Ho Aap!
Chaand Se Aitbar Karun,
Chaand Se Iqraar Karun,
Chaand Ka Izhaar Karun,
Chaand Se Hi Pyaar Karun,
Ek Chaand Hi To Hain Jisika Main Intezaar Karun
Chaand Mein Nazar Kaise Aaye Teri Surat Mujhko
Aandhiyon Se Aasman Ka Rang Mail Ho Gaya!
Chaand Taaron Mein Nazar Aaye Chehra Aapka,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai Pahra Aapka! Chaand Taaron Ki Kasam Khaata Hoon
Main Bahaaron Ki Kasam Khaata Hoon
Koi Aap Jaisa Nazar Nahi Aaya,
Main Nazaaron Ki Kasam Khaata Hoon!
Chaand Ko Dekhun To Tera Chehra Nazar Aata Hai,
Main Ishq Mein Hoon Itna To Mujhe Samajh Mein Aata Hai!
Chaand Ke Saaz Par Roshni Geet Gaate Hue Aa Rahi Hai,
Teri Zulfon Se Chhankar Wo Dekho Chaandni Noor Barsa Rahi Hai.
Chaand Ke Liye Sitare Anek Hai
Lekin Sitaron Ke Liye Chaand Ek Hai
Aapke Liye To Hazaron Honge
Lekin Hamare Liye Aap Ek Hai!
Chaand Ke Deedar Mein Tum
Chat Par Kya Chali Aayi
Sheher Mein Eid Ki
Taareekh Mukammal Ho Gayi!
Chaand Ki Tarah Hi Khile Teri Muskaan,
Taaron Ki Tarah Saje Tere Armaan,
Tu Udaas Na Ho Kabhi,
Teri Zindagi Mein Khushiyon Ho Beshumaar!
Chaand Ki Khoobsurti Par Ek Pahra Dikh Raha Hai,
Aaj Mujhe Chaand Mein Mahboob Ka Chehra Dikh Raha Hai!
Chaand Ka Husn Bhi Zameen Se Hai,
Kyunki Chaand Par Chaandni Nahi Hoti!
Chaand Apne Aap Ko Kehte Ho Tum,
Aao Dekhen Ho Gayi Hai Raat Bhi!
Khwab Dekhne Ki Mujhe Khwahish Nahi,
Main To Raat Guzarta Hoon Chaand Dekhte-Dekhte!
Khoya Hua Hai Aajkal Sitaron Ki Mehfil Mein,
Mera Chaand Mujhse Bewafai Kar Baitha Hai.
Khushnaseebi Hai Hamari Chaand Ke Saath Baat Hoti Hai,
Badnaseebi Hai Hamari Chaand Ke Bina Raat Hoti Hai.
Khud Ko Jalata Hai Roshan Suraj Jahan Sara,
Lekin Tab Bhi Mohabbat Log Chaand Se Karte Hain.
Kyun Meri Tarah Raaton Ko Rehta Hai Pareshan
Ai Chaand Bata Kis Se Teri Aankh Ladi Hai!
Kya Karoon Main Shikayat Bhla Is Chaand Ki,
Is Chaand Se Zyada Intezaar To,
Tum Karwate Ho.
Kuch Tum Kore Kore Se Kuch Hum Sade Sade Se,
Ek Aasman Par Jaise Do Chand Aadhe Aadhe Se!
Kitna Haseen Chaand Sa Chehra Hai, Us Par Shabaab
Ka Rang Gahra Hai, Khuda Ko Yakeen Na Tha Wafa Par
Tabhi Chaand Par Taron Ka Pahra Hai!
Kaash Hamari Qismat Mein Aisi Bhi Koi Sham Aa Jaye
Ek Chaand Falak Par Nikla Ho Ek Chat Par Aa Jaye.
Kaash Main Unka Ambar
Wo Meri Chaand Ban Jaye
Kuch Is Tarah Hum Dono
Ek Dooje Ke Ho Jaye..!
Kaash Koi Aisi Bhi Raat Aaye
Ek Chaand Aasman Mein Ho,
Aur Doosra Hamare Kareeb Aa Jaye!
Kadi Dhoop Mein Bhi Ho
Jaata Hai Andhera Uske
Bina Woh Shakhs Mujhe
Chaand Se Bhi Zyada Pyaara Hai..!
Odh Li Hai Chaand Ne Aaj Badlon Ki Chadar,
Kisi Ke Diye Ashq Chhupaane The Shayad.
Ai Chaand Bade Udaas Lagte Ho,
Kuch Kho Gaya Hai,
Ya Kisi Ka Intezaar Kar Rahe Ho.
Ai Chaand Tu Bhi Kya Khoob Sitam Dhata Hai,
Mujhe Uska Aur Use
Kisi Aur Ka Aks Dikhata Hai.
Ai Chaand Chala Ja Kyun Aaya Hai Meri Chaukhat Par,
Chhod Gaye Wo Shakhs Jis Ki Yaad Me Hum Tujhe Dekha Karte The.
Ek Chaand Aasman Mein Hai,Jo Door Ho Ke Bhi Dikhta Hai,
Ek Zameen Par,Jo Paas Ho Ke Bhi Hmse Rootha Hua Hai.
Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Mein Bas Jaane Ki
Chehra Aapka Chaand Sa Aur Ek
Hasrat Hamari Us Chaand Ko Paane Ki!
Ai Chaand Aankhon Ke Samne Na Aaya Karo,
Har Raat Mujhe Uski Yaad Na Dilaya Karo!
Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga,
Aasman Pe Chaand Pura Tha Magar Aadha Laga.
Utri Ho Mere Dil Me Ek Haseen Chaand Si,
Bas Koi Dekhe To Tujhe Meri Nazar Se.
Is Raat Ki Aadat Bhi Kuch Mere Mehboob Jaisi Hai,
Subah Hote Hi Ye Apne Chaand Ko Bhool Jata Hai.
Ishq Raaton Se Tha,
Aur Hum Din Ke Ho Baithe,
Thodi Si Dhoop Ke Liye,
Hum Chaand Ko Kho Baithe.
Ishq Karna Hai To Raat Ki Tarah Karo,
Jis Se Chaand Bhi Qubool Aur
Uske Daag Bhi Qubool.
Itna Khoobsurat Ittefaq Tha,
Raat Amavasya Ki Thi Aur Chaand Mere Paas Tha.
Aasman Se Chaand Lapata Hai,
Aur Meri Aankhon Se Neend.
Aasman Ka Wo Chaand Bhi Khud Ko Grahan Laga Baita,
Lagta Hai Mere Zameen Ke Chaand Se Wo Bhi Nazre Mila Baita.
Aaj-Kal Ye Shehar Anjaan Ho Chala Hai,
Lagta Hai Ki Chaand Ko Daag Ho Chala Hai.
Aaj Tootega Gurur Chaand Ka Tum Dekhna Yaaron,
Aaj Maine Unhein Chat Par Bulaya Hai!
Ahsan Agar Karo To Kisi Ko Khabar Na Ho,
Suraj Ka Jaise Zikr Nahi Chaandni Ke Saath!
Check also-