Matlabi Shayari in English | Matlabi Dost Shayari in English

Matlabi Shayari in English: Pyaare dosto, aaj ki is matlabi duniya mein true relationships dhundhna bahut mushkil ho gaya hai. Sab apna faayda hi dekhte hain or apne fayde ke liye humse judte hai or baat karte hain. But phir bhi hume himmat nahi haarna chahiye. Hume apne dil ki awaz ko sunana chahiye, pyaar karna chahiye. Chalo, is matlabi duniya mein bhi truth and pyaar ki talaash mein nikle. Isliye aaj hum aapke liye laye hai Matlabi Shayari in English, Matlabi Dost Shayari in English.

matlabi shayari in english

Haan Bahut Matlabi Hoon Main Bhi Ishq Mein,
Chahta Hoon Main Vo Jo Nahi Hai Mera.

matlabi shayari in english

Hamesha Yaad Rakhna
Jo Kadwa Aur Sach Bolta Hai,
Vo Matlabi Dost Nahi Hota Hai.

matlabi dost shayari in english

Ho Jaate Hain Vo Log Bhi Matlabi
Jo Sahaare Tumhaare Hote Hain
Koi Nahi Hai Hamaara Shivay Aapke
Ye Kehkar Jo Vo Jaate Hain..!

dhokebaaz dost shayari in english

Hum Insaan Ki Insaniyat
Ko Hi Sab Kuch Maante Hain…
Lekin Matlabi Log Sirf Apne Matlab Ko Hi
Apna Sab Kuch Jaante Hain!!

matlabi log quotes in english

Hum Matlabi Nahi Ki
Chaahne Waalon Ko Dhoka De,
Bas Hamein Samajhna Har Kisi Ki Baski Baat Nahi !!!

matlabi log shayari in english

Hum Vishwaas Ko Insaniyat Manaate The,
Par Vo Matlabi Log,
To Sirf Apne Matlab Ko Hi Jaante The.

matlabi duniya status in english

Husn Ke Saath Matlabi Naqaab Nikalta Hai,
Aksar Chamakta Sona Kharaab Nikalta Hai.

matlabi duniya shayari in english

Madad Karne Se Main Ghabrane Laga Hoon,
Samajhte Hain Log Main Matlabiyon Ka Saga Hoon.

Main Bhi Jhootha Tu Bhi Jhootha,
Jhoothi Hai Duniya Saari,
Jhoothe Hain Log Sabhi Jhoothe Hain Nar Naari.
Jhooth Hi Sab Ka Daata Sabka Jhooth Hi Paalan Haar Hain,
Aisa Kalyug Aaya Dekho Jhooth Hua Sach Par Bhaari Hain.

matlab ki duniya shayari in english

Main Bura Hoon Mujhe Pata Hai,
Magar Main Matlabi Nahi Hoon.

Main Matlabi Nahi Jo Saath Rahne Waalon Ko Dhokha De Doon,
Bas Mujhe Samjhna Har Kisi Ki Bas Ki Baat Nahi!

Main Suraj Ke Saath Rahkar Bhi Bhoola Nahi Adab,
Log Jugnu Ka Saath Paakar Magroor Ho Gaye!

Matlabi Dost Aksar
Tumhare Munh Par Meetha Ban Rahe Hote Hain…
Lekin Tumhari Peeth Peeche Hi
Tumhari Kabr Khod Rahe Hote Hain!!

Matlabi Dost Ke Hone Se Achha Hai
Aise Dushman Ka Hona,
Jo Aapke Munh Par Thappad Maar Sakta Hai.

Matlabi Dost, Ki Pehchaan To
Aapke Bure Waqt Mein Hoti Hai,
Jab Wo Aapko Aapki Galatiyaan Ginwane Lag Jaate Hain.

Matlabi Dosto Ki Yahi Kahaani Hai,
Chaaplusi Karna Unki Nishaani Hai.

Matlabi Duniya Ka Yeh Riwaaz Sa Ban Gaya Hai…
Kaam Nikal Jaane Ke Baad Log
Ek Doosre Ko Pehchaante Tak Nahi Hain!!

Matlabi Duniya Mein Log
Afsos Se Kehte Hain Ki,
Koi Kisi Ka Nahi…
Magar Koi Yeh Nahi Sochta Ki Hum Kiske Hue.

Matlabi Hai Duniya Phir Bhi
Ye Dil Maanta Nahi,
Apnon Ki Saazishon Ko Ye Bilkul Bhi Pehchanta Nahi.

Matlabi Hai Wo Har Rishta Jo Bewafai Karta Hai,
Jo Saamne Achhi Achhi Baatein
Magar Peeth Peeche Burai Karta Hai.

Matlabi Hai Zamana,
Yahaan Matlab Ke Hain Log,
Jab Bhi Kahenge Sacchi Baatein,
Bura Kahenge Ye Log.

Matlabi Hum The Jo Unhe Kya Kya Samajh Baithe,
Wo To Sirf Waqt Bita Rahe
The Aur Hum Pyaar Samajh Baithe.

Matlabi Ladki Se Achhi To
Meri Cigarette Hai Yaaron…
Jo Mere Hothon Se Apni Zindagi Shuru Karti Hai..
Aur Mere Kadam Ke Neeche Apna Dum Tod Deti Hai!

Matlabi Log Aksar…
Waqt Aur Haalaat Ke Saath
Apna Rang Badal Dete Hain!!

Matlabi Log Woh Hote Hain…
Jo Kaam Padne Par Gadhe Ko
Bhi Baap Bana Lete Hain!!

Matlabi Log… Kuch Logon Ka To
Andaaz Hi Niraala Hota Hai…
Jab Unhe Koi Kaam Padta Hai
Tabhi Unhe Hamari Yaad Aati Hai!!

Matlabi Logon Ka Daur Hai Yaaron,
Yahaan Dekh Kar Bhi Anjaan
Karate Hain Hazaaron.

Matlabi Logon Ke Saath Matlabi Banna Hi Padta Hai…
Varna, Tumhare Sabr Ki Seemayein
Jab Tak Khatm Na Ho Wo
Tab Tak Istemal Karte Rahte Hain!!

Matlabi Logon Ki Meethi Baatein Oh,
Ye To Sirf Ek Dikhaava Hai.
Chaahe Aap Bhi Unhe Aazmaalo,
Aapko Bhi Dhoka Milega Ye Mera Dava Hai.

Matlabi Logon Ko Maasoomiyat
Bewakoofi Hi Lagti Hai!!
Apne Matlabipan Ko Wo Log
Samjhdari Jo Samajhte Hain!!

Matlabi Logon Se
Itna Dar Lagta Hai Ki
Sachche Logon Par Se Bhi
Ab To Vishwaas Uthne Sa Lag Gaya Hai!!

Matlabi Nikli Duniya,
Jise Main Der Se Jaan Paaya,
Kamzori Thi Meri,
Sab Ko Apna Kehta Chala Aaya.

Matlabi Rishton Ki Lagbhag
Ek Hi Kahaani Hai,
Achhe Waqt Mein Khoobiyaan,
Aur Bure Waqt Mein Kamiyaan Ginvaani Hai.

Matlabi Zamana Hai,
Nafrato Ka Kehar Hai,
Ye Duniya Dikhhti Shahad Hai,
Pilati Zehar Hai.

Meethi Jubaan Waale Logon Se
Aksar Sambhal Kar Rehna Chahiye…
Kyunki Unke Dilon Mein Matlab
Aur Dimag Mein Kaarobaar Chalta Rehta Hai…

Mera Bematlab Ishq
Kuch Matlabi Logon Ki
Wajah Se Adhoora Rah Gaya!

Mera Jeevan To Hamesha
Niswarth Raha Lekin Kuch Swarthi Logon Ne
Hamein Sikhaya Ki Kis Tarah
Apna Matlab Nikala Jaata Hai!

Mera Naadaan Dil Bhi
Thode Se Makhan Lagane Par Fisal Jaata Hai!!
Yeh Matlabi Duniya Apna Matlab
Nikal Kar Use Aksar Tod Deti Hai!!

Meri Buraiyon Ko Ginane Lage Hain,
Matlabi Dost,
Dosti Ka Matlab Samjhaane Lage Hain.

Meri Duniya Ka Har Shakhs Matlabi Nikla,
Ghar Ek Aaina Tha Bas Wahi Wafaadaar Nikla.

Meri Maasoomiyat Par Hasta Hain,
Matlab Nikalne Waale.
Khud Ko Bahut Samajhdaar Samjhte Hain,
Ye Shehar Mein Rahne Waale.

Mujhko Chhodne Ki Wajah
To Bata De Mujhse Naaraz The
Ya Mujh Jaise Hajaaron The.

Mujhko Kya Hak Main Kisi Ko Matlabi Kahoon,
Main Khud Hi Khuda Ko
Musibat Mein Yaad Karta Hoon.


Mujhko Kya Hak,
Main Kisi Ko Matlabi Kahoon..
Main Khud Hi Ishwar Ko,
Kathinaai Mein Yaad Karta Hoon!

Mujhko Us Shakhs Ke
Aflaas Pe Rahem Aata Hai
Jise Har Cheez Mili Sirf Mohabbat Na Mili.


Rahate Hain Mere Saath
Matlabi Ki Had Tak Kahi Thak Jaao
To Tanhaa Ruk Jaaoon To Tanhaa !

Rishta Wahi Kaamyaab Rehta Hai
Jo Dil Se Juda Hota Hai Zaroorat Se Nahi !

Rishte Kabhi Zindagi Ke Saath Nahi Chalte,
Rishte Ek Baar Bante Hain,
Phir Zindagi Rishton Ke Saath Chalti Hai.

Saazishein Hazaar Karlo Magar,
Mujhe Bhula Na Paoge, Matlabi Keh Kar Chhodne Vaale,
Ek Din Bada Pachtaoge.

Sab Matlabi Hai:
Aaj Ki Matlabi Duniya Mein Kaun
Kise Dil Mein Jagah Deta Hai,
Yahaan Tak Ke Ped Bhi Apne
Sookhe Patte Gira Deta Hai.

Sab Matlabi Hain:
Aaj Ki Matlabi Duniya Mein Kaun Kise Dil Mein Jagah Deta Hai,
Yahaan Tak Ke Ped Bhi Apne Sookhe Patte Gira Deta Hai.

Sabke Dilon Mein Dhadakna
Zaroori Nahi Hota Sahab Kuch Logon Ki Aankhon Mein
Khatakne Ka Bhi Ek Alag Maza Hai!

Safal Hona Hai To Faisale Karna Seekho,
Tum Dartey Rahoge To
Tumhaari Zindagi Ke Faisle Koi Aur Karega.

Sambhal Ke Chalna Dost
Is Matlabi Duniya Ke Makhmali Raaston Par,
Yahaan Barbaad Karne Ke Liye
Pyaar Ka Sahara Bhi Le Lete Hain Log.

Sikha Diya Hai Duniya Ne Ye,
Apno Par Bhi Shak Karna. Varna Meri Fitrat Mein To,
Gauro Par Bhi Bharosa Karna Tha.

Swaarthi Log Apna Kaam
Nikalvaane Ke Liye Kisi Ko Bhi
Apna Keh Dete Hain…
Matlab Nikal Jaane Ke Baad
Vo Aapke Saamne Tak Nahi Aate!!

Swayam Ki Kamiyon Ko Bataata
Koi Nahi Apne Matlab Ke Bina
Haath Milaata Koi Nahi
Pyaar Se Sabhi Karte Hain Aapse
Magar Kisi Ka Saath Nibhaata Koi Nahi.

Vishwaas Ka Ek Kaccha Dhaaga Dhokha Dekar
Tod Dete Hain!!
Matlabi Logo Ki Fitrat Hi Kuch Aisi Hai…
Tumhen Majhdhaar Mein Chhod Dete Hain!!

Vishwaas Ka Gala Ghot Aaj,
Mein Bhi Matlabi Banke Ji Raha Hoon.
Is Tuchchh Se Swarth Ke Liye,
Matlabi Logo Ko Apna Apna Keh Raha Hoon.

Vishwaas Kis Pe Karoon Is Matlabi Duniya Mein,
Ab To Dost Bhi Matlabi Hone Lage Hain.

Yahaan Aksar Log
Mohabbat Dhoondhte Paaye Jaate Hain,
Woh Bhi Bas Matlab Ke Liye…

Ye Din Hai Ke Yaaron Ka Bhi Bharosa Nahi Wo,
Din The Jab Dushman Se Bhi Nafrat Na Thi.


Ye Duniya Hai Sahab,
Yeh Dil Se Nahi,
Zaroorat Se Pyaar Karti Hai..!

Ye Duniya Kitni Matlabi Hai
Is Baat Ka Andaaza Aap Yahaan Se Laga Sakte Ho
Ke Jo Ped Sookh Jaata Hai
Us Ped Par To Parinde
Bhi Basera Nahi Karte.

Ye Duniya Na Pyaar Se Chalti Hai,
Na Dosti Se Chalti Hai,
Humne To Yahi Paaya Hai,
Yeh Sirf Matlab Se Chalti Hai.

Ye Duniya Waale Bade Matlabi Hain,
Jaante Hain Sab Apne Swarth Ke Liye Paas Aate Hain,
Magar Bawajood Iske, Sab Ko Apna Apna Kehte Hain.

Ye Kalyug Nahi,
Matlabi Yug Chal Raha Hai.

Yeh Katoo Yatharth Hai,
Ki Matlab Ki Duniya Mein
Bina Kisi Swarth Ke Shaayad
Hi Koi Kisi Ki Parwah Karta Hai.

Yeh Mat Samajh Ki Tere Kaabil Nahi Hain Hum,
Tadap Rahe Hain Vo Ab Bhi
Jise Haasil Nahi Hain Hum.

Yeh Matlabi Duniya Hai,
Yahaan Sunta Nahi Fariyaad Koi.
Hansate Hain Sab Log
Jab Hota Hai Barbaad Koi.

Yun Hi Badh Rahi Hain Khwahishen Meri,
Ye Pattharon Ki Duniya Hai,
Yahaan Pighalne Waala Koi Nahi.

Matlabi Is Duniya Mein,
Matlabi Tu Bhi Ban,
Chalta Agar Saath Koi,
Saath Uske Tu Bhi Chal.

Matlabi Dost Ki Meethi Baat,
Sambhal Kar Rakhe Apni Jazbaat.

Matlab Hai To Rishta Hai
Varna Is Farbi Zamane Mein
Kaun Kiska Poochta Hai..!

Matlab Se Rishta Rakhte Log
Hamesha Tumhein Acche Waqt
Mein Tumhari Achhai Dikhayenge
Aur Bure Waqt Mein
Tumhari Galatiyaan Nikalenge…

Matlab Se Bhari Duniya
Mein Log Yeh To Aasaani Se Keh Jaate Hain…
Koi Kisi Ka Saga Nahi Hai!!
Lekin Main Yeh Kehta Hoon
Ki Tum Kiske Sage Hue Ho??

Matlabi Pura Hone Ke Baad Log Bolna To Door,
Dekhna Bhi Chhod Dete Hain. Matlabi Ho Jate Hai, I
s Matlabi Duniya Mein Rishta Khatam Ho Jata Hai.

Badla Hua Waqt Hai,
Zalim Zamana Hai.. Yaha Matlabi Rishte Hain,
Magar Nibhana Bhi Hai..!

Badalti Is Duniya Ke Saath Har Rishta Badal Raha Hai,
Jahaan Apno Ki Jeet Par Koi Apna Jal Raha Hai.

Batana Na Tum Prem Ke Phool Kahaan Khilte Hain,
Matlab Ki Is Duniya Mein Dil Kahaan Milte Hain.


Fayda Uthane Ke Liye Itne Bhi
Matlabi Mat Bano Ki Log
Tumhein Matlabi Kehne Lag Jaayein.

Pyaar Bhi Aaj Kal Time Pass Karne Ka Jariya Ban Gaya Hai,
Koi Zyada Ameer Ya Behtar Saathi Milne Par.

Matlab Ke Naam Par
Kuch Rishte Jode Jaate Hain!!
Phir Apne Matlab Ke Liye
Vo Rishte Tode Jaate Hain!!

Pyaasi Ye Nigahein Tarasti Rehti Hai,
Teri Yaad Mein Aksar Barasati Rehti Hai. Hum Tere Khayalon Mein Doobe Rehte Hain, Aur Yeh Zaalim Duniya Hum Par Hasti Rehti Hai.

Pyar Se Hamein Apna Banate Hain,
Chehre Par Ek Naya Chehra Lagate Hain!
Is Duniya Ke Matlabi Log,
Har Baar Ek Naye Libaas Mein Aate Hain!!

Pyar Se Apna Keh Kar Matlabi Ke Liye Aati Hai,
Apno Ke Libaaz Mein Yeh Duniya Zakhm De Jaati Hai.

Pyar Bhi Aajkal Time Pass Karne Ka Jariya Ban Gaya Hai,
Koi Zyada Ameer Ya Behtar Saathi Milne Par.

Pidha To Tab Hui
Jab Log Apne Dilon Mein
Gile Shikve Rakhte Maafi Maang Chale Gaye
Sirf Apne Matlab Ke Liye.

Badalte Is Duniya Ke Saath
Har Rishta Badal Raha Hai,
Jahaan Apno Ki Jeet Par Koi Apna Jal Raha Hai.

Phool Kabhi Do Baar Nahin Khilte,
Milne Ko To Hajaaron Log Mil Jaate Hain,
Is Matlbi Duniya Mein,
Magar Hajaaron Galatiyaan Maaf Karne Vaale,
Maa Baap Nahin Milte.

Pyasi Ye Nigahein Tarasti Rehti Hain,
Teri Yaad Mein Aksar Barasati Rehti Hai.
Hum Tere Khayalon Mein Doobe Rehte Hain,
Aur Yeh Zaalim Duniya
Hum Par Hasti Rehti Hai.

Pyar Ke Naam Par Kuch Rishte
Jode Jaate Hain!!
Phir Apne Matlbi Ke Liye
Vo Rishte Tode Jaate Hain!!

Peeda To Tab Hui Jab Log
Apne Dilon Mein Gile Shikve Rakhte
Maafi Maang Chale Gaye
Sirf Apne Matlbi Ke Liye.

Badle Waqt Me Hai,
Zalim Zamana Hai..
Yaha Matlbi Rishte Hain,
Magar Nibhana Bhi Hai..!

Dekho Sab Ko Apni Talab Lagi Hai,
Bheed Bahut Hai Lekin Sab Matlbi Hain.

Dene Ke Kurbaani Apne Chaahat Ki Jaanam,
Hum Apni Nazar Me Mahaan Ho Gaye!

Duniya Waale To The Hi Magar,
Ab To Apne Bhi Matlbi Nazar Aate Hain.
Har Rishte Swaarthi Nahi Hai Yahaan,
Ye To Sirf Sapne Nazar Aate Hain.

Duniya Mein Sab Bade Dukhi
Hriday Se Kehte Hain
Ke Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi,
Magar Kabhi Khud Ye Nahi Sochte
Ke Vo Kiske Hain.

Duniya Mein Bichaaye Makhmali Raaston Par,
Jara Dekh Ke Chalna Mere Yaar Kyunki
Logon Ne Makhmal Ke Andar
Matlbi Kaante Bhi Chhupa Ke Rakhe Hote Hain…

Duniya Mein Ab Ye Haal Ho Chuka Hai
Ki Kisi Ka Haal Bhi Pucho To
Vo Sochta Hai Ki Koi Kaam Hoga.

Na Dosti Mila Na Pyar Mila,
Bas Har Mod Par Ek Matlbi Yaar Mila.

Na Koi Kashti Na Koi Kinara,
Matlbi Hai Duniya Matlbi Jag Saara,
Rishton Ki Dor Ka Ab Na Koi Sahara,
Matlbi Logo Ka Matlbi Ka Bhaichara.

Nafrat Ho Gayi Hai
Ab Mujhe Insano Se
Matlbi Jamane Se Aur Farebi Logo Se!

Na Pareshaniyan,
Na Haalaat Na Hi Koi Rog Hai,
Jinhone Hamein Sataaya Hai
Aur Koi Nahi Vo Jhoothe Log Hain.

Dosti Karne Se Pehle
Dost Ko Aazmana Chahiye
Yahaan Dosti Ke Naam Par Log
Barbaad Kar Diya Karte Hain!!

Dosti Karne Ke Unke Andaaz Bohot Hain,
Magar Chhipe Ismein Matlbi Ke Raaz Bohot Hain.

Dosti Unse Kijiye
Jo Dosti Ka Sachcha Matlab Samajhte Hon
Baaki Istemaal Karne Vaale Dost To
Apne Aap Aap Tak Pahunch Hi Jaayenge!!

Dekar Kurbaani Apne Chahat Ki
Jaanam Hum Apni Nazar
Mein Mahaan Ho Gaye!

Duniya Me Sabko Daraaro Me
Jhankne Ki Aadat Hai Darwaza
Khule Rakh Do Koi
Aas Paas Bhi Nahi Dikhega!

Duniya Bahut Matlbi Hai,
Saath Koi Kyo Dega,
Muft Ka Yahaan Kafan Nahi Milta,
To Bina Peeda Ke Pyaar Kaun Dega.

Duniya Ko Dekh Kar
Ab Hum Bhi Mizaaz Badleinge,
Rishta Sab Se Hoga Lekin
Vaasta Kisi Se Nahi.

Duniya Ke Saare Rishte Matlbi Hote Hain,
Ek Maan Baap Ka Rishta Hi Niswarth Hota Hai.
Maan-Baap Apni Santan Se Bina Kisi Matlbi Ke,
Saari Umr Ek Samaan Pyaar Karte Hain.

Duniya Ki Baat To Door
Samundar Bhi Itna Matlbi Hai,
Ye Jaan Lekar Laharo Se Kehta Hai
Ise Kinaare Par Laga Do.

Duniya Ki Dikat Aur Bhi Hai Ke
Agar Koi Zyada Achha Hai To Vo Kyon Hai?

Duniya Insaan Ki Achhai Par
Hamesha Chup Rehti Hai,
Baat Agar Burai Ki Ho To
Goonge Bhi Bolne Lagte Hain.

Dilo Mein Matlbi Aur
Zubaan Se Pyaar Karte Hain,
Bahut Se Log Duniya Mein
Yahi Kaarobaar Karte Hain.

Dil-E-Masoom Aitbaar Kar Leta Hai
Thoda Pyaar Pa Kar,
Tod Deti Hai Dil Mera Duniya Matlbi Nikal Kar.

Dil Toot Sa Gaya Hai
In Badalte Insano Se
Aur Beiimaan Logo Se!

Dil Toot Jaaye To Bhi Muskurana Padta Hai,
Matlbi Se Bhare Hain Yahaan Kuch Log.
Apna Dard Un Logo Ke Saamne,
Chhupana Hi Padta Hai.

Dikha Di Hai Sheeshe Ne
Asliyat Jhoothe Logo Ki Banaavati,
Chehre Pahan Kar Aksar Jo Jhoothe
Duniya Mein Ghoome Hain.

Dikkat Yeh Bhi Hai Is Kaatil Duniya Ka..
Koi Agar Achha Bhi Hai To
Vo Achha Kyon Hai..

Thak Chuka Hoon Main:
Matlbi Duniya Se,
Nakli Dosto Se Aur Jhooth Se!

Teri Dosti Ne Bahut Kuch Sikha Diya,
Meri Khamosh Duniya Ko Jaise Hasa Diya.
Karzdaar Hai Khuda Ke Jisne Aap,
Jaisa Dost Se Mila Diya.

Tum Mile To Mujhe Yaqin Aaya
Bevajah Tha Tera Pyaar Nazar Aaya,
Matlbi Ke Is Duniya Mein
Maine Tere Jaisa Bematlab Yaar Paaya.

Tum Bhala Karoge Kisi Ka To
Tumhara Bhi Bhala Hoga,
Matlbi Is Duniya Mein Ab
Bhalaai Ka Rang Dhoondhna Hoga.

Tum Jaate Jaate Is Pyar Ko
Bhi Matlbi Bana Gaye
Aur Hum Marate Marate Bhi
Is Matlbi Ko Pyaar Kar Gaye.

Takleef Hai Kya Sunayein
Dosto Ko Kameene Beech Mein
Hi Hasa Dete Hain Mujhe..!

Dhoondhna Hi Hai To
Parwaah Karne Waalo Ko Dhoondhiye Sahib
Istemaal Karne Vaale To
Khud Hi Aapko Dhoondh Lenge!

Jhoothe Vaade Karke Aksar
Mukar Jaate Hain…
Duniya Ke Kuch Matlbi Log
Matlbi Ke Liye Sab Kuch Chhod Jaate Hain!!

Jhoothe Duniya Ke Jhoothe Fasaane Hain,
Log Bhi Jhoothe Aur Jhoothe Jamane Hain.
Dhokhe Milte Hain Har Kadam Par Yahaan,
Har Taraf Bheed Hai Lekin Afsos Sab Begaane Hain.

Jo Bhool Chuke Hain Humein
Unhe Bhool Jaane Do
Sab Yaad Karenge Saahab
Zara Matlbi Ke Din Kareeb Aane Do..!

Jo Khwaahishon Ke Bazaar Mein
Matlbi Manzar Dikh Rahe Hain Y
e Sab Dikhavati Chehron Ka Kamaal Hai..!

Jee Karta Hai Is Matlbi Ki Duniya Ko
Chhod Kar Ek Pyaar Ki Nayi Duniya Basaai Jaaye!!

Jise Humne Apna Khuda Maana Vo Hi,
Bada Matlbi Aur Khudgarz Nikla.

Jise Maine Maana Apna
Khuda Vahi Mera Matlbi Yaar Mujhe
Chhodkar Ho Gaya Mujhse Juda!!

Jise Sabse Zyada Vishwaas Hota Hai
Jab Vahi Dhokha Deta Hai,
To Poora Duniya Matlbi Lagne Lagti Hai.

Jisko Aa Gaya Hai Kathinaaiyon Mein Muskurana,
Bhala Uska Koi Kya Bigaade Ga Matlbi Zamana.

Jis Par Poora Vishwaas Ho
Agar Vahi Dhokha De Jaaye
To Aise Mein Duniya Ka
Har Shakhs Matlbi Sa Lagne Lagta Hai!!

Jis Tarah Tumne Mujhe Istemaal Kiya
Apne Matlbi Ke Liye…
Tumhein Bhi Zindagi Mein Koi Aisa Milega
Apne Matlbi Ke Liye…

Jinko Hum Apna Sab Kuch Maante Hain Unhi
Ke Liye Kabhi-Kabhi Hum Koi
Mayne Nahi Rakhte!!

Zindagi Mein Jo Bhi Mila
Ek Sabak De Gaya,
Yahaan To Har Shakhs Matlbi Nikla.

Zindagi Jeene Ka Kuch Aisa Andaaz Rakho,
Matlbi Dosto Ko Nazarandaaz Rakho.

Jinko Humne Dil Se Apna Maan Rakha Tha…
Matlbi Logon Ne Apna Matlab
Nikalne Ke Liye Hum Se Rishta Jod Rakha Tha!!

Jinko Humne Is Dil Mein Basa Rakha Tha,
Unka Naam To Matlbi Logo Mein Aa Rakha Tha.

Jin Logon Ko Sirf Apne Hi Kaam Nazar Aate Hain…
Un Logon Ko Hum Matlbi Ke Naam Dete Hain!!
Matlbi Log Aksar… Waqt Aur Haalaat Ke Saath
Apna Rang Badal Dete Hain!!

Jin Logon Ke Pyaar Mein
Matlab Bhara Hota Hai…
Unki Mulaakaaton Mein
Maksad Bhara Hota Hai….

Zaroor Ek Din Vo Shakhs Tadpega Hamare Liye…
Abhi To Khushiyaan Baahut
Mil Rahi Hai Use Matlbi Logo Se.

Jab Rishta Naya Hota Hai To,
Log Baat Karne Ka Bahaana Dhoondhte Hain.
Aur Jab Uhi Rishta Purana Ho Jaata Hai,
To Log Door Hone Ka Bahaana Dhoondhte Hain.

Jab Matlbi Dost Dil Mein Utar Jaate Hain,
To Kai Sapne Toot Kar Bikhar Jaate Hain.

Jab Matlbi Ho Jaate Hain Na Pure,
Tab Rishte Reh Jaate Hain Adhoore.

Jab Koi Aap Se Nazarein Churaane Lage
Iska Seedha Sa Matlab Yahi Hai Ki
Uski Zarooratein Poori Ho Gayi Hain
Ab Use Aapki Zaroorat Nahi Hai!!

Leave a Comment